qadam qadam par kī rusvā.ī phislā har ik ziine par
prem-kumār-'nazar'-jī bhejo la.anat badan kamīne par
apnī bhī mushkil hal kar lo us kā bhī kalyān karo
us kā raaz usī ko sauñpo bojh na rakkho siine par
niile garm samundar se to Dar kar kosoñ bhāgo ho!
ret meñ chappū maar ke ḳhush ho haif tumhāre jiine par
apne andar bāhar ''jam jam phaile mushk-nasībo dii''
chādar kā ujlā-pan bhūlo itr na chiḌko pasīne par
tum ko kyā ma.alūm azāb-e-jism ko kaise jhelte haiñ
ik do din meñ kaam banāo baat na Taalo mahīne par
qadam qadam par ki ruswai phisla har ek zine par
prem-kumar-'nazar'-ji bhejo lanat badan kamine par
apni bhi mushkil hal kar lo us ka bhi kalyan karo
us ka raaz usi ko saunpo bojh na rakkho sine par
nile garm samundar se to Dar kar koson bhago ho!
ret mein chappu mar ke KHush ho haif tumhaare jine par
apne andar bahar jam jam phaile mushk-nasibo di
chadar ka ujla-pan bhulo itr na chiDko pasine par
tum ko kya malum azab-e-jism ko kaise jhelte hain
ek do din mein kaam banao baat na Talo mahine par
Source: Book : Khayaabaan (Pg. 128) Author : Hassan Abbas Raza Publication : Bazm-e-Khayaabaan-e-adab, Pakistan
Leave a comment