Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaleem Ahmadabadi

  • Ghazal


surur-o-kaif hai kuchh lazzat-e-baqa to nahin


surūr-o-kaif hai kuchh lazzat-e-baqā to nahīñ
ye ibtidā kī haqīqat hai intihā to nahīñ

sitāre tiir nigāhoñ se dekhte kyuuñ haiñ
mirā junūñ koī mere liye balā to nahīñ

fareb khaa.e na kyuuñ kar kisī kā saada dil
zamāna-sāz nigāhoñ se āshnā to nahīñ

kahīñ girī to hai bijlī zarā nazar kiije
kisī ġharīb kī palTī huī duā to nahīñ

hazār baar ḳhizāñ se bahār Takrā.ī
chaman kā raaz magar aaj tak khulā to nahīñ

mizāj-e-husn mukaddar hai kyuuñ ḳhudā jaane
is aa.ine meñ koī baal aa gayā to nahīñ

hujūm-e-nāz meñ jalva-farebiyoñ ke sivā
'kalīm' aur koī hādisa huā to nahīñ

surur-o-kaif hai kuchh lazzat-e-baqa to nahin
ye ibtida ki haqiqat hai intiha to nahin

sitare tir nigahon se dekhte kyun hain
mera junun koi mere liye bala to nahin

fareb khae na kyun kar kisi ka sada dil
zamana-saz nigahon se aashna to nahin

kahin giri to hai bijli zara nazar kije
kisi gharib ki palTi hui dua to nahin

hazar bar KHizan se bahaar Takrai
chaman ka raaz magar aaj tak khula to nahin

mizaj-e-husn mukaddar hai kyun KHuda jaane
is aaine mein koi baal aa gaya to nahin

hujum-e-naz mein jalwa-farebiyon ke siwa
'kalim' aur koi hadisa hua to nahin


Source: Mata-e-Kaleem

Leave a comment

+