Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaif Ahmed Siddiqui

  • Ghazal


mujhko talim se nafrat hi sahi


mujh ko ta.alīm se nafrat hī sahī
aur kheloñ se mohabbat hī sahī

maiñ ne is se to baḌe kaam liye
aap ko khel se vahshat hī sahī

imtihāñ se maiñ nahīñ ghabrātā
fail honā mirī qismat hī sahī

paḌhne vāloñ ne bhī kyā kuchh na kiyā
naql karnā mirī aadat hī sahī

maiñ ne to sirf guzārish kī thī
sab kī nazroñ meñ shikāyat hī sahī

maiñ kisī se na laḌūñgā hargiz
dab ke rahnā mirī fitrat hī sahī

maiñ na chhoḌūñgā sharāfat kā chalan
ye sharāfat mirī zillat hī sahī

kabhī chūmegī qadam ḳhud manzil
aaj har gaam pe diqqat hī sahī

ye musībat bhī baḌī dilkash hai
zindagī ek musībat hī sahī

'kaif' ik din ye banā degī tujhe
sher-goī tirī aadat hī sahī

mujh ko talim se nafrat hi sahi
aur khelon se mohabbat hi sahi

main ne is se to baDe kaam liye
aap ko khel se wahshat hi sahi

imtihan se main nahin ghabraata
fail hona meri qismat hi sahi

paDhne walon ne bhi kya kuchh na kiya
naql karna meri aadat hi sahi

main ne to sirf guzarish ki thi
sab ki nazron mein shikayat hi sahi

main kisi se na laDunga hargiz
dab ke rahna meri fitrat hi sahi

main na chhoDunga sharafat ka chalan
ye sharafat meri zillat hi sahi

kabhi chumegi qadam KHud manzil
aaj har gam pe diqqat hi sahi

ye musibat bhi baDi dilkash hai
zindagi ek musibat hi sahi

'kaif' ek din ye bana degi tujhe
sher-goi teri aadat hi sahi


Leave a comment

+