Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Idris Babar

  • Ghazal


dhum gum-gashta KHazanon ki machata phire kaun


dhuum gum-gashta ḳhazānoñ kī machātā phire kaun
in zamānoñ meñ jo the hī nahīñ jaatā phire kaun

baaġh meñ un se mulāqāt kā imkān bhī hai
sirf phūloñ ke liye lauT ke aatā phire kaun

siikh rakkhe haiñ parindoñ ne sab ashjār ke giit
āj-kal muuD hī aisā hai ki gaatā phire kaun

maiñ to kahtā huuñ yahīñ ġhaar meñ rah lo jab tak
vaqt pūchho hī nahīñ shahr basātā phire kaun

bhes badle hue ik shaḳhs kī ḳhātir hai ye sab
ham faqīroñ ke bhalā naaz uThātā phire kaun

ḳhvāb ya.anī ye shab-o-roz jise chāhiye hoñ
aa ke le jaa.e ab āvāz lagātā phire kaun

iḳhtilāfāt saroñ meñ haiñ gharoñ se baḌh kar
phir uThānī jo hai dīvār girātā phire kaun

dhum gum-gashta KHazanon ki machata phire kaun
in zamanon mein jo the hi nahin jata phire kaun

bagh mein un se mulaqat ka imkan bhi hai
sirf phulon ke liye lauT ke aata phire kaun

sikh rakkhe hain parindon ne sab ashjar ke git
aaj-kal muD hi aisa hai ki gata phire kaun

main to kahta hun yahin ghaar mein rah lo jab tak
waqt puchho hi nahin shahr basata phire kaun

bhes badle hue ek shaKHs ki KHatir hai ye sab
hum faqiron ke bhala naz uThata phire kaun

KHwab yani ye shab-o-roz jise chahiye hon
aa ke le jae ab aawaz lagata phire kaun

iKHtilafat saron mein hain gharon se baDh kar
phir uThani jo hai diwar giraata phire kaun


Source: Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 573) Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ

Leave a comment

+