Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Baqaullah Baqa

  • Ghazal


rakhta hai yun wo zulf-e-siyah-fam dosh par


rakhtā hai yuuñ vo zulf-e-siyah-fām dosh par
sayyād jis tarah se dhare daam dosh par

shāne talak chaḌhe bin ab aañsū ko kab hai chain
sach hai ki hove tifl ko ārām dosh par

ik din milā jo shaiḳh to phir mai-kashoñ ke saath
sar par liye phiregā subū jaam dosh par

milnā to aaj bhī na huā shab ko aur uThā
īfā-e-va.ada ai but ḳhud-kām dosh par

hai dil meñ ghar ko shahar se sahrā meñ le chaleñ
uThvā ke āñsuoñ se dar-o-bām dosh par

vo zisht-baḳht huuñ ki malā.ek ko bhī mire
likhne kā pesh aave jo kuchh kaam dosh par

nekī mirī to naam badoñ ke kareñ raqam
zishtī likheñ badoñ kī mire naam dosh par

mutrib bachoñ ne shaiḳh ko Tañgiyā liyā tamām
lī vaqt-e-jā-e-ḳhil.at-e-in.ām dosh par

Daalā na bār-e-ishq zamīñ par 'baqā' ne yaar
sar se agar girā to liyā thaam dosh par

rakhta hai yun wo zulf-e-siyah-fam dosh par
sayyaad jis tarah se dhare dam dosh par

shane talak chaDhe bin ab aansu ko kab hai chain
sach hai ki howe tifl ko aaram dosh par

ek din mila jo shaiKH to phir mai-kashon ke sath
sar par liye phirega subu jam dosh par

milna to aaj bhi na hua shab ko aur uTha
ifa-e-wada ai but KHud-kaam dosh par

hai dil mein ghar ko shahar se sahra mein le chalen
uThwa ke aansuon se dar-o-baam dosh par

wo zisht-baKHt hun ki malaek ko bhi mere
likhne ka pesh aawe jo kuchh kaam dosh par

neki meri to nam badon ke karen raqam
zishti likhen badon ki mere nam dosh par

mutrib bachon ne shaiKH ko Tangiya liya tamam
li waqt-e-ja-e-KHilat-e-inam dosh par

Dala na bar-e-ishq zamin par 'baqa' ne yar
sar se agar gira to liya tham dosh par


Source: Dewan-e-Baqa

Leave a comment

+