Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Divya Jain

  • Ghazal


le ke parcham mere daman ka khaDe hain sare


le ke parcham mire dāman kā khaḌe haiñ saare
aa ke phir jism pe patthar ye paḌe haiñ saare

dafn karne kī hai insāñ ko zarūrat ab kyā
sharm se ḳhud meñ hī ḳhud se to gaḌe haiñ saare

ziist kī raah ko ab apnī banānā tū misāl
haiñ pashemān jo manzil pe khaḌe haiñ saare

kitnī parvāz bharo apnā na āġhāz tajo
par bikhar ke to zamīñ par hī paḌe haiñ saare

badlā hai saarā jahāñ badlī na qaum-e-āshiq
in ko samjhā.iye kyā chikne ghaḌe haiñ saare

umr to saarī gañvā.ī ho na paa.e insāñ
par ḳhudā banñe ko phir bhī to aḌe haiñ saare

ḳhud ko kar ḳhatm hī karte haiñ vo āġhāz nayā
patte vo zard jo shāḳhoñ se jhaḌe haiñ saare

le ke parcham mere daman ka khaDe hain sare
aa ke phir jism pe patthar ye paDe hain sare

dafn karne ki hai insan ko zarurat ab kya
sharm se KHud mein hi KHud se to gaDe hain sare

zist ki rah ko ab apni banana tu misal
hain pasheman jo manzil pe khaDe hain sare

kitni parwaz bharo apna na aaghaz tajo
par bikhar ke to zamin par hi paDe hain sare

badla hai sara jahan badli na qaum-e-ashiq
in ko samjhaiye kya chikne ghaDe hain sare

umr to sari ganwai ho na pae insan
par KHuda banne ko phir bhi to aDe hain sare

KHud ko kar KHatm hi karte hain wo aaghaz naya
patte wo zard jo shaKHon se jhaDe hain sare


Leave a comment

+