Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dheerendra Singh Faiyaz

  • Ghazal


aasman khol diya pairon mein rahen rakh din


āsmāñ khol diyā pairoñ meñ rāheñ rakh diiñ
phir nasheman pe usī shaḳhs ne shāḳheñ rakh diiñ

jab koī fikr jabīñ par huī raqsāñ maiñ ne
ḳhvāb āñkhoñ meñ rakhe āñkhoñ pe palkeñ rakh diiñ

darmiyāñ ḳhāmushī pahle to na aa.ī thī magar
bātoñ bātoñ meñ hī us ne ka.ī bāteñ rakh diiñ

us ne jab toḌ diye saare ta.alluq mujh se
khīñch kar siine se phir maiñ ne bhī sāñseñ rakh diiñ

merī tanhā.ī se tañg aa ke mire hī ghar ne
aaj thak-hār ke dahlīz pe āñkheñ rakh diiñ

aasman khol diya pairon mein rahen rakh din
phir nasheman pe usi shaKHs ne shaKHen rakh din

jab koi fikr jabin par hui raqsan main ne
KHwab aankhon mein rakhe aankhon pe palken rakh din

darmiyan KHamushi pahle to na aai thi magar
baaton baaton mein hi us ne kai baaten rakh din

us ne jab toD diye sare talluq mujh se
khinch kar sine se phir main ne bhi sansen rakh din

meri tanhai se tang aa ke mere hi ghar ne
aaj thak-haar ke dahliz pe aankhen rakh din


Leave a comment

+