Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Erum Zehra

  • Ghazal


main apni wafaon ka bharam le ke chali hun


maiñ apnī vafāoñ kā bharam le ke chalī huuñ
hāthoñ meñ mohabbat kā alam le ke chalī huuñ

chalne hī nahīñ detī thī ik va.ade kī zanjīr
mushkil thā magar bār-e-sitam le ke chalī huuñ

kyā pūchhte ho mujh se mire zād-e-safar kā
asbāb meñ bas yād-e-sanam le ke chalī huuñ

jis shahr ke har moḌ pe kāñTe hī bichhe haiñ
is shahr meñ bhī zaḳhmī qadam le ke chalī huuñ

koī bhī safar maiñ ne adhūrā nahīñ chhoḌā
chalnā hai to manzil kī qasam le ke chalī huuñ

mujh ko hai yaqīñ harf kī hurmat pe hamesha
tanhā thī magar apnā qalam le ke chalī huuñ

ḳhush-baḳht hai vo jis ke muqaddar meñ 'iram' hai
maiñ saath meñ ik bāġh-e-iram le ke chalī huuñ

main apni wafaon ka bharam le ke chali hun
hathon mein mohabbat ka alam le ke chali hun

chalne hi nahin deti thi ek wade ki zanjir
mushkil tha magar bar-e-sitam le ke chali hun

kya puchhte ho mujh se mere zad-e-safar ka
asbab mein bas yaad-e-sanam le ke chali hun

jis shahr ke har moD pe kanTe hi bichhe hain
is shahr mein bhi zaKHmi qadam le ke chali hun

koi bhi safar main ne adhura nahin chhoDa
chalna hai to manzil ki qasam le ke chali hun

mujh ko hai yaqin harf ki hurmat pe hamesha
tanha thi magar apna qalam le ke chali hun

KHush-baKHt hai wo jis ke muqaddar mein 'iram' hai
main sath mein ek bagh-e-iram le ke chali hun


Leave a comment

+