Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aasi Faiqi

  • Ghazal


daman-e-tar-tar ke qisse


dāman-e-tār-tār ke qisse
chhiḌ ga.e haiñ bahār ke qisse

mai barasne lagī nigāhoñ se
be-piye bhī ḳhumār ke qisse

dil pareshāñ hai to sunā.e jā
mausam-e-ḳhush-gavār ke qisse

chashm-e-tar meñ tasavvur-e-furqat
nok-e-mizhgāñ pe ḳhaar ke qisse

shām-e-hijrāñ baḌe rasīle the
aañkh meñ intizār ke qisse

raat dasht-e-vafā meñ ḳhuub chale
chashm-e-āhū-shikār ke qisse

sun sakoge sunā.e gar 'āsī'
dār-e-hastī pe yaar ke qisse

daman-e-tar-tar ke qisse
chhiD gae hain bahaar ke qisse

mai barasne lagi nigahon se
be-piye bhi KHumar ke qisse

dil pareshan hai to sunae ja
mausam-e-KHush-gawar ke qisse

chashm-e-tar mein tasawwur-e-furqat
nok-e-mizhgan pe KHar ke qisse

sham-e-hijran baDe rasile the
aankh mein intizar ke qisse

raat dasht-e-wafa mein KHub chale
chashm-e-ahu-shikar ke qisse

sun sakoge sunae gar 'asi'
dar-e-hasti pe yar ke qisse


Source:

Leave a comment

+