Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Prem Kumar Nazar

  • Ghazal


pagal hawa ke dosh pe jins-e-giran na rakh


pāgal havā ke dosh pe jins-e-girāñ na rakh
is shahr-e-be-lihāz meñ apnī dukāñ na rakh

us kā diyā huā hai jism us ke supurd kar
rakhne kī is havas meñ tū donoñ jahāñ na rakh

is kā zavāl dekh ke vo saltanat na chhoḌ
is zindagī meñ lamha-e-sūd-o-ziyāñ na rakh

vo fasl pak chukī thī ab us kā bhī kyā qusūr
tujh se kahā thā jeb meñ chiñgāriyāñ na rakh

vo jism hai to us ko faqat jism hī samajh
pardā kisī fareb kā phir darmiyāñ na rakh

aa.egī har taraf se havā dastakeñ liye
ūñchā makāñ banā ke bahut khiḌkiyāñ na rakh

vo jism khul rahā hai girah-dar-girah 'nazar'
ye tiir chuuk jā.egā Dhīlī kamāñ na rakh

pagal hawa ke dosh pe jins-e-giran na rakh
is shahr-e-be-lihaz mein apni dukan na rakh

us ka diya hua hai jism us ke supurd kar
rakhne ki is hawas mein tu donon jahan na rakh

is ka zawal dekh ke wo saltanat na chhoD
is zindagi mein lamha-e-sud-o-ziyan na rakh

wo fasl pak chuki thi ab us ka bhi kya qusur
tujh se kaha tha jeb mein chingariyan na rakh

wo jism hai to us ko faqat jism hi samajh
parda kisi fareb ka phir darmiyan na rakh

aaegi har taraf se hawa dastaken liye
uncha makan bana ke bahut khiDkiyan na rakh

wo jism khul raha hai girah-dar-girah 'nazar'
ye tir chuk jaega Dhili kaman na rakh


Leave a comment

+