phir mujhe jiine kī duā dī hai
ya.anī phir ik hasīñ sazā dī hai
zulm sah kar bhī ham ne zālim ke
haath chūme haiñ aur duā dī hai
kyuuñ gila ho ki ham ko qudrat ne
ye kisī jurm kī sazā dī hai
shukriya tū ne ek Thokar se
rūh-e-ḳhvābīda ik jagā dī hai
husn ko kyā ḳhabar ki ḳhud us ne
sho.ala-e-ishq ko havā dī hai
mausam-e-gul ne aa ke gulshan meñ
jaane kyā aag sī lagā dī hai
ham ne dāġhoñ ke nuur se 'maġhmūm'
raunaq-e-bazm-e-dil baḌhā dī hai
phir mujhe jine ki dua di hai
yani phir ek hasin saza di hai
zulm sah kar bhi hum ne zalim ke
hath chume hain aur dua di hai
kyun gila ho ki hum ko qudrat ne
ye kisi jurm ki saza di hai
shukriya tu ne ek Thokar se
ruh-e-KHwabida ek jaga di hai
husn ko kya KHabar ki KHud us ne
shoala-e-ishq ko hawa di hai
mausam-e-gul ne aa ke gulshan mein
jaane kya aag si laga di hai
hum ne daghon ke nur se 'maghmum'
raunaq-e-bazm-e-dil baDha di hai
Source: Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 255) Publication : Raghu Nath suhai ummid
Leave a comment