Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aashiq Jafri

  • Ghazal


raunaq-e-baam-o-dar nahin baqi


raunaq-e-bām-o-dar nahīñ baaqī
kaise kah duuñ ki ghar nahīñ baaqī

us ko dekhā hai us kī nazroñ se
jaise apnī nazar nahīñ baaqī

rahnumāoñ ne is qadar luuTā
ab luTeroñ kā Dar nahīñ baaqī

har musāfir se rāstoñ ne kahā
zulmatoñ meñ sahar nahīñ baaqī

dil to mahrūm-e-sidq lagtā hai
aur duā meñ asar nahīñ baaqī

maiñ ne aḳhbār paḌh liyā 'āshiq'
koī taaza ḳhabar nahīñ baaqī

raunaq-e-baam-o-dar nahin baqi
kaise kah dun ki ghar nahin baqi

us ko dekha hai us ki nazron se
jaise apni nazar nahin baqi

rahnumaon ne is qadar luTa
ab luTeron ka Dar nahin baqi

har musafir se raston ne kaha
zulmaton mein sahar nahin baqi

dil to mahrum-e-sidq lagta hai
aur dua mein asar nahin baqi

main ne aKHbar paDh liya 'ashiq'
koi taza KHabar nahin baqi


Source: Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 400) Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ

Leave a comment

+