ye jo kuchh aaj hai kal to nahīñ hai
ye shām-e-ġham musalsal to nahīñ hai
maiñ akasr rāstoñ par sochtā huuñ
ye bastī koī jañgal to nahīñ hai
yaqīnan tum meñ koī baat hogī
ye duniyā yūñhī pāgal to nahīñ hai
maiñ lamha lamha martā jā rahā huuñ
mirā ghar merā maqtal to nahīñ hai
kisī par chhā gayā barsā kisī par
vo ik āvāra bādal to nahīñ hai
ye jo kuchh aaj hai kal to nahin hai
ye sham-e-gham musalsal to nahin hai
main akasr raston par sochta hun
ye basti koi jangal to nahin hai
yaqinan tum mein koi baat hogi
ye duniya yunhi pagal to nahin hai
main lamha lamha marta ja raha hun
mera ghar mera maqtal to nahin hai
kisi par chha gaya barsa kisi par
wo ek aawara baadal to nahin hai
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment