taḌap kalī kī hai ye ishrat-e-numū ke liye
ki iztirāb hai irfān rañg-o-bū ke liye
rumūz-e-arsh to khul jā.eñge kabhī na kabhī
hayāt vaqfa hai ḳhud apnī justujū ke liye
kuchh is qadar dil-e-pur-shauq be-ḳhabar bhī nahīñ
magar ba-zid hai vo anjām-e-ārzū ke liye
chaman meñ ġhunche hue mā.il-e-azāñ jis dam
luTā.ī sub.h ne shabnam vahīñ vuzū ke liye
shamīm-e-gulshan-e-rizvāñ ba-sad niyāz aa.ī
ḳhirāj le ke tirī zulf-e-mushkbū ke liye
jigar kā chaak hī marhūn-e-baḳhiya-gar kyuuñ ho
ye ḳhud hī rishta-e-sozan bhī hai rafū ke liye
nadīm kis ke qadam haiñ ye zeb-e-kāhkashāñ
chalā ye kaun kidhar kis kī justujū ke liye
taDap kali ki hai ye ishrat-e-numu ke liye
ki iztirab hai irfan rang-o-bu ke liye
rumuz-e-arsh to khul jaenge kabhi na kabhi
hayat waqfa hai KHud apni justuju ke liye
kuchh is qadar dil-e-pur-shauq be-KHabar bhi nahin
magar ba-zid hai wo anjam-e-arzu ke liye
chaman mein ghunche hue mail-e-azan jis dam
luTai subh ne shabnam wahin wuzu ke liye
shamim-e-gulshan-e-rizwan ba-sad niyaz aai
KHiraj le ke teri zulf-e-mushkbu ke liye
jigar ka chaak hi marhun-e-baKHiya-gar kyun ho
ye KHud hi rishta-e-sozan bhi hai rafu ke liye
nadim kis ke qadam hain ye zeb-e-kahkashan
chala ye kaun kidhar kis ki justuju ke liye
Source: Book : Saaz-e-hayat (Pg. 54) Author : Prem Shankar Goila Farhat Publication : Maktaba Tahriik, Ansari Market, Daryaganj (1965) Edition : 1965
Leave a comment