Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Jalandhari

  • Ghazal


aaKHir ek din shad karoge


āḳhir ek din shaad karoge
merā ghar ābād karoge

pyaar kī bāteñ vasl kī rāteñ
yaad karoge yaad karoge

kis dil se ābād kiyā thā
kis dil se barbād karoge

maiñ ne apnī qīmat kah dī
tum bhī kuchh irshād karoge

zar ke bando aql ke andho
tum kyā mujh ko shaad karoge

jab mujh ko chup lag jā.egī
phir tum bhī fariyād karoge

aur tumheñ aatā hī kyā hai
koī sitam ījād karoge

tañg aa kar ai banda-parvar
bande ko āzād karoge

mere dil meñ basne vaalo
tum mujh ko barbād karoge

husn ko rusvā kar ke marūñgā
āḳhir tum kyā yaad karoge

hashr ke din ummīd hai nāseh
tum merī imdād karoge

aaKHir ek din shad karoge
mera ghar aabaad karoge

pyar ki baaten wasl ki raaten
yaad karoge yaad karoge

kis dil se aabaad kiya tha
kis dil se barbaad karoge

main ne apni qimat kah di
tum bhi kuchh irshad karoge

zar ke bando aql ke andho
tum kya mujh ko shad karoge

jab mujh ko chup lag jaegi
phir tum bhi fariyaad karoge

aur tumhein aata hi kya hai
koi sitam ijad karoge

tang aa kar ai banda-parwar
bande ko aazad karoge

mere dil mein basne walo
tum mujh ko barbaad karoge

husn ko ruswa kar ke marunga
aaKHir tum kya yaad karoge

hashr ke din ummid hai naseh
tum meri imdad karoge


Source: Book : Kulliyat-e-Hafeez Jalandhari (Pg. 441)

Leave a comment

+