Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameela Khuda Bakhsh

  • Ghazal


chhup ke ghairon se dil mein aa jaana


chhup ke ġhairoñ se dil meñ aa jaanā
ai sanam ruḳh mujhe dikhā jaanā

bar-sar-e-rāh hai mirī turbat
haath bahr-e-duā uThā jaanā

dil meñ rahtā hai us ke naqsh-e-sanam
shaiḳh ko ham ne pārsā jaanā

ġhair mumkin hai daḳhl-e-ġhair is meñ
dil ko jab ḳhāna-e-ḳhudā jaanā

ai madad-gār jinn-o-insāñ ke
bigḌiyoñ ko mirī banā jaanā

is se afzūñ sitam nahīñ koī
qatl-e-āshiq ko tum ne kyā jaanā

kyā batā.ūñ tujhe 'jamīla' maiñ
āfat-e-jāñ hai dil kā aa jaanā

chhup ke ghairon se dil mein aa jaana
ai sanam ruKH mujhe dikha jaana

bar-sar-e-rah hai meri turbat
hath bahr-e-dua uTha jaana

dil mein rahta hai us ke naqsh-e-sanam
shaiKH ko hum ne parsa jaana

ghair mumkin hai daKHl-e-ghair is mein
dil ko jab KHana-e-KHuda jaana

ai madad-gar jinn-o-insan ke
bigDiyon ko meri bana jaana

is se afzun sitam nahin koi
qatl-e-ashiq ko tum ne kya jaana

kya bataun tujhe 'jamila' main
aafat-e-jaan hai dil ka aa jaana


Source: Book : Diwan-e-jamila (Pg. 31) Author : Jamila Khuda Bakhsh Publication : Khuda Bakhsh Oriental Public Library, Patna (2005) Edition : 2005

Leave a comment

+