Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chand Akbarabadi

  • Ghazal


jawab chiKH uThe hain sawal chiKH uThe


javāb chīḳh uThe haiñ savāl chīḳh uThe
kahīñ pe lafz kahīñ par ḳhayāl chīḳh uThe

dikhā ye ḳhvāb ki kal raat mar gayā huuñ maiñ
gunāh jitne the sab hasb-e-hāl chīḳh uThe

kahīñ imaam kahīñ muqtadī mile jāhil
azāneñ sun ke hamārī bilāl chīḳh uThe

phisal ga.ī mirī muTThī se zindagī kī ret
ghaḌī se haare jo lamhe to saal chīḳh uThe

banā ke apnī hī tasvīr ḳhud pashemāñ huuñ
jo rañg maiñ ne bhare sabz laal chīḳh uThe

jawab chiKH uThe hain sawal chiKH uThe
kahin pe lafz kahin par KHayal chiKH uThe

dikha ye KHwab ki kal raat mar gaya hun main
gunah jitne the sab hasb-e-haal chiKH uThe

kahin imam kahin muqtadi mile jahil
azanen sun ke hamari bilal chiKH uThe

phisal gai meri muTThi se zindagi ki ret
ghaDi se haare jo lamhe to sal chiKH uThe

bana ke apni hi taswir KHud pasheman hun
jo rang main ne bhare sabz lal chiKH uThe


Leave a comment

+