ham un ke ġham meñ taḌap rahe haiñ jo ġhair se dil lagā chuke haiñ
hamāre dil meñ hai yaad un kī jo ham ko dil se bhulā chuke haiñ
balā-e-mahshar bhī sahal un ko azāb-e-dozaḳh bhī un ko āsāñ
jo terī ulfat meñ apne dil par ġham-e-judā.ī uThā chuke haiñ
adū se jā kar karo ye bāteñ vahīñ guzāro tum apnī rāteñ
tumhārī bātoñ meñ aa chuke ham tumheñ bahut aazmā chuke haiñ
agar na aa.eñ nazar na aa.eñ nahīñ hai kuchh bhī ḳhayāl is kā
kahāñ vo jā.eñge muñh chhupā kar hamāre dil meñ jab aa chuke haiñ
ye kyā qayāmat hai yā ilāhī ki un kī aamad kā haal sun kar
shakeb-o-sabr-o-qarār hosh-o-havās pahle hī jā chuke haiñ
ḳhayāl kuchh bhī nahīñ hai tujh ko but-e-parīvash hamārā ham to
tirī mohabbat meñ naqd-e-jān-o-dil-o-jigar bhī luTā chuke haiñ
butoñ ko denā na bhuul kar dil na un pe honā zarā bhī maa.il
nahīñ hai juz rañj un se hāsil tujhe ye 'nādir' jatā chuke haiñ
hum un ke gham mein taDap rahe hain jo ghair se dil laga chuke hain
hamare dil mein hai yaad un ki jo hum ko dil se bhula chuke hain
bala-e-mahshar bhi sahal un ko azab-e-dozaKH bhi un ko aasan
jo teri ulfat mein apne dil par gham-e-judai uTha chuke hain
adu se ja kar karo ye baaten wahin guzaro tum apni raaten
tumhaari baaton mein aa chuke hum tumhein bahut aazma chuke hain
agar na aaen nazar na aaen nahin hai kuchh bhi KHayal is ka
kahan wo jaenge munh chhupa kar hamare dil mein jab aa chuke hain
ye kya qayamat hai ya ilahi ki un ki aamad ka haal sun kar
shakeb-o-sabr-o-qarar hosh-o-hawas pahle hi ja chuke hain
KHayal kuchh bhi nahin hai tujh ko but-e-pariwash hamara hum to
teri mohabbat mein naqd-e-jaan-o-dil-o-jigar bhi luTa chuke hain
buton ko dena na bhul kar dil na un pe hona zara bhi mail
nahin hai juz ranj un se hasil tujhe ye 'nadir' jata chuke hain
Source: Book : Deewan-e-Nadir (Pg. 185) Author : Abul Khayal Nadir Shahjahanpuri Publication : Jasper Paul John Robert paul memorial Society Jhansi U.P (2015) Edition : 2015 Book : Deewan-e-Nadir (Pg. 185) Publication : Jasper Paul John Robert paul memorial Society Jhansi U.P (2015) Edition : 2015
Leave a comment