Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kamil Bahzadi

  • Ghazal


ye zamana kahin mujhse na chura le mujhko


ye zamāna kahīñ mujh se na churā le mujh ko
koī is ālam-e-dahshat se bachā le mujh ko

maiñ isī ḳhaak se niklūñgā sharāra ban kar
log to kar ga.e miTTī ke havāle mujh ko

koī jugnū koī taarā na ujālā degā
raah dikhlā.eñge ye paañv ke chhāle mujh ko

un charāġhoñ meñ nahīñ huuñ ki jo bujh jaate haiñ
jis kā jī chāhe havāoñ meñ jalā le mujh ko

dard kī aañch baḌhegī to pighal jā.ūñgā
apne āñchal meñ koī aa ke chhupā le mujh ko

is qadar maiñ ne sulagte hue ghar dekhe haiñ
ab to chubhne lage āñkhoñ meñ ujāle mujh ko

tazkira merā kitāboñ meñ rahegā 'kāmil'
bhuul jā.eñge mire chāhne vaale mujh ko

ye zamana kahin mujh se na chura le mujh ko
koi is aalam-e-dahshat se bacha le mujh ko

main isi KHak se niklunga sharara ban kar
log to kar gae miTTi ke hawale mujh ko

koi jugnu koi tara na ujala dega
rah dikhlaenge ye panw ke chhaale mujh ko

un charaghon mein nahin hun ki jo bujh jate hain
jis ka ji chahe hawaon mein jala le mujh ko

dard ki aanch baDhegi to pighal jaunga
apne aanchal mein koi aa ke chhupa le mujh ko

is qadar main ne sulagte hue ghar dekhe hain
ab to chubhne lage aankhon mein ujale mujh ko

tazkira mera kitabon mein rahega 'kaamil'
bhul jaenge mere chahne wale mujh ko

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 ye zamana kahin mujhse na chura le mujhko Nomaan Shauque

Leave a comment

+