ḳhud apne ghar meñ haiñ is tarah aaj aa.e hue
ki jaise ghar meñ kisī ke hoñ ham bulā.e hue
ki jaise ab koī ḳhurshīd aa hī jā.egā
haiñ apne ghar ke añdheroñ se lau lagā.e hue
ḳhudā kare dar-o-dīvār kaan rakhte hoñ
zamāna guzrā hai rūdād-e-ġham sunā.e hue
in āñdhiyoñ meñ na jaane kidhar se aa jaao
maiñ jā rahā huuñ har ik sū diyā jalā.e hue
garāñ guzartī hai ab shahr kī har ik āvāz
sunā rahe haiñ vo qisse jo haiñ sunā.e hue
ho jaise jurm-e-mohabbat meñ merī nākāmī
har ik se rahtā huuñ 'nūrī' nazar bachā.e hue
KHud apne ghar mein hain is tarah aaj aae hue
ki jaise ghar mein kisi ke hon hum bulae hue
ki jaise ab koi KHurshid aa hi jaega
hain apne ghar ke andheron se lau lagae hue
KHuda kare dar-o-diwar kan rakhte hon
zamana guzra hai rudad-e-gham sunae hue
in aandhiyon mein na jaane kidhar se aa jao
main ja raha hun har ek su diya jalae hue
garan guzarti hai ab shahr ki har ek aawaz
suna rahe hain wo qisse jo hain sunae hue
ho jaise jurm-e-mohabbat mein meri nakaami
har ek se rahta hun 'nuri' nazar bachae hue
Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)
Leave a comment