chāñd ubhrā na mire jism se saayā niklā
shām-e-ġham aa.ī to maiñ ghar se akelā niklā
aaj aayā hai darīche pe havā kā jhoñkā
aaj koī to mujhe dekhne vaalā niklā
ye alag baat ki khulne lage palkoñ ke varaq
nok-e-lab se na kabhī harf-e-tamannā niklā
ho ga.e aur dar-o-bām nazar se ojhal
dar-haqīqat ye ujālā bhī añdherā niklā
koī āvāz to aa jaatī kahīñ se vāpas
ye kuaañ ghar kā to itnā bhī na gahrā niklā
lauT jā ab mirī āñkhoñ meñ nahīñ haiñ aañsū
tū samundar jise samjhā thā vo sahrā niklā
chand ubhra na mere jism se saya nikla
sham-e-gham aai to main ghar se akela nikla
aaj aaya hai dariche pe hawa ka jhonka
aaj koi to mujhe dekhne wala nikla
ye alag baat ki khulne lage palkon ke waraq
nok-e-lab se na kabhi harf-e-tamanna nikla
ho gae aur dar-o-baam nazar se ojhal
dar-haqiqat ye ujala bhi andhera nikla
koi aawaz to aa jati kahin se wapas
ye kuan ghar ka to itna bhi na gahra nikla
lauT ja ab meri aankhon mein nahin hain aansu
tu samundar jise samjha tha wo sahra nikla
Leave a comment