Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Devmani pandey

  • Ghazal


is jahan mein pyar mahke zindagi baqi rahe


is jahāñ meñ pyaar mahke zindagī baaqī rahe
ye duā māñgo diloñ meñ raushnī baaqī rahe

aadmī puurā huā to devtā ho jā.egā
ye zarūrī hai ki us meñ kuchh kamī baaqī rahe

dostoñ se dil kā rishta kaash ho kuchh is tarah
dushmanī ke saa.e meñ bhī dostī baaqī rahe

dil ke āñgan meñ ugegā ḳhvāb kā sabza zarūr
shart hai āñkhoñ meñ apnī kuchh namī baaqī rahe

ishq jab kariye kisī se dil meñ ye jazba bhī ho
laakh hoñ rusvā.iyāñ par āshiqī baaqī rahe

dil meñ mere pal rahī hai ye tamannā aaj bhī
ik samundar pī chukūñ aur tishnagī baaqī rahe

is jahan mein pyar mahke zindagi baqi rahe
ye dua mango dilon mein raushni baqi rahe

aadmi pura hua to dewta ho jaega
ye zaruri hai ki us mein kuchh kami baqi rahe

doston se dil ka rishta kash ho kuchh is tarah
dushmani ke sae mein bhi dosti baqi rahe

dil ke aangan mein ugega KHwab ka sabza zarur
shart hai aankhon mein apni kuchh nami baqi rahe

ishq jab kariye kisi se dil mein ye jazba bhi ho
lakh hon ruswaiyan par aashiqi baqi rahe

dil mein mere pal rahi hai ye tamanna aaj bhi
ek samundar pi chukun aur tishnagi baqi rahe


Source: Book : Apna to mile koi (Pg. 100) Author : Devmani Pandey Publication : Amrit parkashan (2012) Edition : 2012

Leave a comment

+