Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Prem Kumar Nazar

  • Ghazal


us taraf kya hai ye kuchh khulta nahin


us taraf kyā hai ye kuchh khultā nahīñ
merā qad dīvār se ūñchā nahīñ

dekh aa.e us ko aur dekhā nahīñ
merī āñkheñ ab mirā hissa nahīñ

sone ko aa.ī samundar par havā
aur merā bādbāñ khultā nahīñ

gum haiñ sab apnī sadā ke shor meñ
maiñ jo kahtā huuñ koī suntā nahīñ

ham bhī us ko bhuul hī jaa.eñ 'nazar'
vo bhī ham ko yaad ab kartā nahīñ

us taraf kya hai ye kuchh khulta nahin
mera qad diwar se uncha nahin

dekh aae us ko aur dekha nahin
meri aankhen ab mera hissa nahin

sone ko aai samundar par hawa
aur mera baadban khulta nahin

gum hain sab apni sada ke shor mein
main jo kahta hun koi sunta nahin

hum bhi us ko bhul hi jaen 'nazar'
wo bhi hum ko yaad ab karta nahin


Leave a comment

+