Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Lateef Khan Mahfooz

  • Ghazal


tu hi to nahin pighal raha hai


tū hī to nahīñ pighal rahā hai
apnā bhī libās jal rahā hai

maiñ chal bhī diyā huuñ tujh se mil kar
tū hī ki abhī sambhal rahā hai

rone kī to kar rahā huuñ koshish
mausam hī nahīñ badal rahā hai

dariyā ke badal rahe haiñ tevar
maujoñ kā bhī ruḳh badal rahā hai

ghar apnā hai phir ye kyā sitam hai
ki hukm kisī kā chal rahā hai

'mahfūz' dimāġh aaj apnā
kuchh aur bhī tez chal rahā hai

tu hi to nahin pighal raha hai
apna bhi libas jal raha hai

main chal bhi diya hun tujh se mil kar
tu hi ki abhi sambhal raha hai

rone ki to kar raha hun koshish
mausam hi nahin badal raha hai

dariya ke badal rahe hain tewar
maujon ka bhi ruKH badal raha hai

ghar apna hai phir ye kya sitam hai
ki hukm kisi ka chal raha hai

'mahfuz' dimagh aaj apna
kuchh aur bhi tez chal raha hai


Source: Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 627) Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ

Leave a comment

+