Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Baldev Raaj

  • Ghazal


badla hua hai rang-e-gulistan mere liye


badlā huā hai rañg-e-gulistāñ mire liye
ḳhuuñ ro rahī hai chashm-e-bahārāñ mire liye

faiz-e-junūn-e-shauq ke qurbān jā.iye
vus.at hai do-jahān kī zindāñ mire liye

sab ahl-e-dil haiñ terī nigāhoñ se faizyāb
ab tū kahāñ hai sirf mirī jaañ mire liye

maiñ ḳhud hī chhoḌ jā.ūñgā ye mahfil-e-hayāt
kyoñ ho rahe ho itne pareshāñ mire liye

vo zindagī jise tirī mahfil meñ baar thā
ab ho ga.ī hai ḳhvāb-e-gurezāñ mire liye

ai mere chāk-chāk garebāñ se be-ḳhabar
tū bhī phiregā chāk-garebāñ mire liye

phūloñ ke naaz ahl-e-chaman ko raheñ nasīb
ḳhandāñ haiñ ḳhārh-ā-e-bayābāñ mire liye

badla hua hai rang-e-gulistan mere liye
KHun ro rahi hai chashm-e-bahaaran mere liye

faiz-e-junun-e-shauq ke qurban jaiye
wusat hai do-jahan ki zindan mere liye

sab ahl-e-dil hain teri nigahon se faizyab
ab tu kahan hai sirf meri jaan mere liye

main KHud hi chhoD jaunga ye mahfil-e-hayat
kyon ho rahe ho itne pareshan mere liye

wo zindagi jise teri mahfil mein bar tha
ab ho gai hai KHwab-e-gurezan mere liye

ai mere chaak-chaak gareban se be-KHabar
tu bhi phirega chaak-gareban mere liye

phulon ke naz ahl-e-chaman ko rahen nasib
KHandan hain KHarh-a-e-bayaban mere liye


Source:

Leave a comment

+