Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abbas Tabish

  • Ghazal


meri tanhai baDhate hain chale jate hain


merī tanhā.ī baḌhāte haiñ chale jaate haiñ
hañs tālāb pe aate haiñ chale jaate haiñ

is liye ab maiñ kisī ko nahīñ jaane detā
jo mujhe chhoḌ ke jaate haiñ chale jaate haiñ

merī āñkhoñ se bahā kartī hai un kī ḳhushbū
raftagāñ ḳhvāb meñ aate haiñ chale jaate haiñ

shādi-e-marg kā māhaul banā rahtā hai
aap aate haiñ rulāte haiñ chale jaate haiñ

kab tumheñ ishq pe majbūr kiyā hai ham ne
ham to bas yaad dilāte haiñ chale jaate haiñ

aap ko kaun tamāshā.ī samajhtā hai yahāñ
aap to aag lagāte haiñ chale jaate haiñ

haath patthar ko baḌhā.ūñ to sagān-e-duniyā
hairatī ban ke dikhāte haiñ chale jaate haiñ

meri tanhai baDhate hain chale jate hain
hans talab pe aate hain chale jate hain

is liye ab main kisi ko nahin jaane deta
jo mujhe chhoD ke jate hain chale jate hain

meri aankhon se baha karti hai un ki KHushbu
raftagan KHwab mein aate hain chale jate hain

shadi-e-marg ka mahaul bana rahta hai
aap aate hain rulate hain chale jate hain

kab tumhein ishq pe majbur kiya hai hum ne
hum to bas yaad dilate hain chale jate hain

aap ko kaun tamashai samajhta hai yahan
aap to aag lagate hain chale jate hain

hath patthar ko baDhaun to sagan-e-duniya
hairati ban ke dikhate hain chale jate hain

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Abbas Tabish

Source: Book : Ishq Abaad (kulliyat) (Pg. 627)

Leave a comment

+