Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yasin Ali Khan Markaz

  • Ghazal


shirk ka parda uThaya yar ne


shirk kā parda uThāyā yaar ne
ham ko jab apnā banāyā yaar ne

roz-e-raushan kī tarah dekhā use
garche muñh apnā chhupāyā yaar ne

zāhiran maujūd hai har shaan se
har tarah ruḳh ko dikhāyā yaar ne

ḳhvesh-o-begāna faqat kahne ko hai
apnā dīvāna banāyā yaar ne

banda bin jaanā faqat chhupne ko hai
ghar ko vīrāna banāyā yaar ne

pher gardūñ se hai sūrat har tarah
jism kā shāna banāyā yaar ne

tū vo 'markaz' hai ḳhudā.ī kā zuhūr
ḳhatt-e-fāsil ko banāyā yaar ne

shirk ka parda uThaya yar ne
hum ko jab apna banaya yar ne

roz-e-raushan ki tarah dekha use
garche munh apna chhupaya yar ne

zahiran maujud hai har shan se
har tarah ruKH ko dikhaya yar ne

KHwesh-o-begana faqat kahne ko hai
apna diwana banaya yar ne

banda bin jaana faqat chhupne ko hai
ghar ko virana banaya yar ne

pher gardun se hai surat har tarah
jism ka shana banaya yar ne

tu wo 'markaz' hai KHudai ka zuhur
KHatt-e-fasil ko banaya yar ne


Source: Dewan-e-Markaz

Leave a comment

+