Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chand Akbarabadi

  • Ghazal


barf mein KHud ko badal kar dekhna


barf meñ ḳhud ko badal kar dekhnā
phir kisī sūraj pe chal kar dekhnā

pheñk do sar se ye chādar saa.e kī
dhuup phir chehre pe mal kar dekhnā

dard phūloñ kā samajhne ke liye
kāñTe hāthoñ se masal kar dekhnā

qad hamāre saa.e kā bhī hai baḌā
dhuup se apnī nikal kar dekhnā

jañg kar lenā sabhī asbāb se
apne rab se phir machal kar dekhnā

ahmiyat kyā hai tire kirdār kī
ḳhud kahānī se nikal kar dekhnā

'chāñd' kā mushkil safar kaise likhūñ
aap ḳhud pairoñ pe chal kar dekhnā

barf mein KHud ko badal kar dekhna
phir kisi suraj pe chal kar dekhna

phenk do sar se ye chadar sae ki
dhup phir chehre pe mal kar dekhna

dard phulon ka samajhne ke liye
kanTe hathon se masal kar dekhna

qad hamare sae ka bhi hai baDa
dhup se apni nikal kar dekhna

jang kar lena sabhi asbab se
apne rab se phir machal kar dekhna

ahmiyat kya hai tere kirdar ki
KHud kahani se nikal kar dekhna

'chand' ka mushkil safar kaise likhun
aap KHud pairon pe chal kar dekhna


Leave a comment

+