vo chāñd-rut ke hasīn lamhoñ kī shā.irī hai
ki us kī bāteñ hazār sāloñ kī shā.irī hai
ye ḳhushk patte ki jaise rāhoñ meñ lafz bikhre
udaas mausam meñ in daraḳhtoñ kī shā.irī hai
hamārī āñkheñ udaas ġhazloñ ke qāfiye haiñ
hamārā chehra purāne vaqtoñ kī shā.irī hai
tumhārā hañsnā hamārī nazmoñ kī ibtidā thī
hamārā ronā tumhārī āñkhoñ kī shā.irī hai
ye sirf harfoñ kī tāb-kārī kā zahr kab hai
ḳhudā ke bando ye ham ġharīboñ kī shā.irī hai
wo chand-rut ke hasin lamhon ki shairi hai
ki us ki baaten hazar salon ki shairi hai
ye KHushk patte ki jaise rahon mein lafz bikhre
udas mausam mein in daraKHton ki shairi hai
hamari aankhen udas ghazlon ke qafiye hain
hamara chehra purane waqton ki shairi hai
tumhaara hansna hamari nazmon ki ibtida thi
hamara rona tumhaari aankhon ki shairi hai
ye sirf harfon ki tab-kari ka zahr kab hai
KHuda ke bando ye hum gharibon ki shairi hai
Leave a comment