Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Badnam Nazar

  • Ghazal


diwar-o-dar ka nam tha koi makan na tha


dīvār-o-dar kā naam thā koī makāñ na thā
maiñ jis zamīn par thā vahāñ āsmāñ na thā

maiñ dushmanoñ kī tarah rahā ḳhud se duur kyuuñ
apne sivā to koī mire darmiyāñ na thā

qadmoñ meñ taptī ret thī chāroñ taraf thī aag
aur zindagī ke sar par koī sā.ebāñ na thā

DhūñDī thī maañ kī god meñ jā-e-amāñ magar
bechainiyoñ ko merī vahāñ bhī amaañ na thā

mere safar meñ bhiiḌ jo thī ham-qadam mirī
yādoñ kī thī barāt koī kārvāñ na thā

apne hisār-e-jism meñ kab rah sakā 'nazar'
dekhā gayā thā us ko jahāñ vo vahāñ na thā

diwar-o-dar ka nam tha koi makan na tha
main jis zamin par tha wahan aasman na tha

main dushmanon ki tarah raha KHud se dur kyun
apne siwa to koi mere darmiyan na tha

qadmon mein tapti ret thi chaaron taraf thi aag
aur zindagi ke sar par koi saeban na tha

DhunDi thi man ki god mein ja-e-aman magar
bechainiyon ko meri wahan bhi aman na tha

mere safar mein bhiD jo thi ham-qadam meri
yaadon ki thi baraat koi karwan na tha

apne hisar-e-jism mein kab rah saka 'nazar'
dekha gaya tha us ko jahan wo wahan na tha

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Badnam Nazar RECITATIONS Badnam Nazar00:00/00:00 diwar-o-dar ka nam tha koi makan na tha Badnam Nazar

Leave a comment

+