ranj-o-ġham se jo be-ḳhabar hotā
kaash aisā bhī koī ghar hotā
sañg-bārī kā ġham nahīñ hai magar
ek patthar ko ek sar hotā
us bulandī se gir ke rusvā huuñ
achchhā hotā zamīn par hotā
us kī lāThī hai be-sadā yaaro
kaash is baat kā bhī Dar hotā
ye zalālat na jhelnī paḌtī
bā-hunar se jo be-hunar hotā
ranj-o-gham se jo be-KHabar hota
kash aisa bhi koi ghar hota
sang-bari ka gham nahin hai magar
ek patthar ko ek sar hota
us bulandi se gir ke ruswa hun
achchha hota zamin par hota
us ki laThi hai be-sada yaro
kash is baat ka bhi Dar hota
ye zalalat na jhelni paDti
ba-hunar se jo be-hunar hota
Source: Book : Khushboo Rang Sada ke Sang (Pg. 52) Author : Dr. Preem Bhandari Publication : Westzone Culture Center Udaipur (2003) Edition : 2003
Leave a comment