kyuuñ sabā kī na ho raftār ġhalat
gul ġhalat ġhunche ġhalat ḳhaar ġhalat
ham-navāoñ kī nahīñ koī kamī
baat kiije sar-e-bāzār ġhalat
vaqt ulaT de na bisāt-e-hastī
chaal ham chalte haiñ har baar ġhalat
dil ke saude meñ koī suud nahīñ
jins hai ḳhām-e-ḳharīdār ġhalat
har taraf aag lagī hai 'bāqī'
mashvara detī hai dīvār ġhalat
kyun saba ki na ho raftar ghalat
gul ghalat ghunche ghalat KHar ghalat
ham-nawaon ki nahin koi kami
baat kije sar-e-bazar ghalat
waqt ulaT de na bisat-e-hasti
chaal hum chalte hain har bar ghalat
dil ke saude mein koi sud nahin
jins hai KHam-e-KHaridar ghalat
har taraf aag lagi hai 'baqi'
mashwara deti hai diwar ghalat
Source: Book : Bar-e-Safar (Pg. 45) Author : Baqi Siddiqui Publication : Maktaba Urdu Daijest, Lahore (1969) Edition : 1969
Leave a comment