Subscribe to our newsletter and get our newest updates

zafar iqbal zafar

  • Ghazal


sahra ka safar tha to shajar kyun nahin aaya


sahrā kā safar thā to shajar kyuuñ nahīñ aayā
māñgī thiiñ duā.eñ to asar kyuuñ nahīñ aayā

dekhā thā jise ham ne kabhī shauq-e-talab meñ
mahtāb sā vo chehra nazar kyuuñ nahīñ aayā

ham log to marte rahe qistoñ meñ hamesha
phir bhī hameñ jiine kā hunar kyuuñ nahīñ aayā

lagtā hai muqaddar meñ mire saaya nahīñ hai
muddat se safar meñ huuñ to ghar kyuuñ nahīñ aayā

jis ke liye baiThe the bichhā.e hue āñkheñ
mahfil meñ abhī tak vo bashar kyuuñ nahīñ aayā

mausam to har ik shāḳh ke khulne kā 'zafar' thā
phir un pe koī barg-o-samar kyuuñ nahīñ aayā

sahra ka safar tha to shajar kyun nahin aaya
mangi thin duaen to asar kyun nahin aaya

dekha tha jise hum ne kabhi shauq-e-talab mein
mahtab sa wo chehra nazar kyun nahin aaya

hum log to marte rahe qiston mein hamesha
phir bhi hamein jine ka hunar kyun nahin aaya

lagta hai muqaddar mein mere saya nahin hai
muddat se safar mein hun to ghar kyun nahin aaya

jis ke liye baiThe the bichhae hue aankhen
mahfil mein abhi tak wo bashar kyun nahin aaya

mausam to har ek shaKH ke khulne ka 'zafar' tha
phir un pe koi barg-o-samar kyun nahin aaya


Source: Book : Adbi gazit (Pg. 161) Author : Zafar Iqbal Publication : Maunath bhanjan

Leave a comment

+