Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dattatriya Kaifi

  • Ghazal


rahat kahan nasib thi jo ab kahin nahin


rāhat kahāñ nasīb thī jo ab kahīñ nahīñ
vo āsmāñ nahīñ hai ki ab vo zamīñ nahīñ

ho josh sidq-e-dil meñ to rāhat baġhal meñ ho
qaa.em ye āsmān rahe yā zamīñ nahīñ

hubb-e-vatan ko himmat-e-mardāna chāhiye
darkār aah sīna-e-andoh-gīñ nahīñ

ḳhūn-e-dil-o-jigar se ise sīñch ai aziiz
kisht-e-vatan hai ye koī kisht-e-javīñ nahīñ

haq-goī kī sadā thī na ruknī na ruk sakī
kab vaar kī sināneñ galoñ meñ chubhīñ nahīñ

dāġh-e-ġham-e-vatan hai nishān-e-azīz-e-ḳhalq
dil par na jis kā naqsh ho ye vo nagīñ nahīñ

jañg-e-vatan meñ sidq ke hathiyār kā hai kaam
darkār is meñ aslaha-e-āhīñ nahīñ

ghar-bār terā par tū kisī chiiz ko na chheḌ
ye baat to harīfoñ kī kuchh dil-nashīñ nahīñ

jis baat par aziiz aḌe haiñ aḌe raheñ
kahne deñ un ko ūñche gale se nahīñ nahīñ

kyā jaane dil jigar ko mire jo ye kah gayā
dāman bhī taar taar nahīñ āstīñ nahīñ

mābūd hai vatan huuñ parastār usī kā maiñ
dair o haram meñ jo jhuke ye vo jabīñ nahīñ

'kaifī' isī se ḳhairiyat-e-hind meñ hai der
hubb-e-vatan kā josh kahīñ hai kahīñ nahīñ

rahat kahan nasib thi jo ab kahin nahin
wo aasman nahin hai ki ab wo zamin nahin

ho josh sidq-e-dil mein to rahat baghal mein ho
qaem ye aasman rahe ya zamin nahin

hubb-e-watan ko himmat-e-mardana chahiye
darkar aah sina-e-andoh-gin nahin

KHun-e-dil-o-jigar se ise sinch ai aziz
kisht-e-watan hai ye koi kisht-e-jawin nahin

haq-goi ki sada thi na rukni na ruk saki
kab war ki sinanen galon mein chubhin nahin

dagh-e-gham-e-watan hai nishan-e-aziz-e-KHalq
dil par na jis ka naqsh ho ye wo nagin nahin

jang-e-watan mein sidq ke hathiyar ka hai kaam
darkar is mein aslaha-e-ahin nahin

ghar-bar tera par tu kisi chiz ko na chheD
ye baat to harifon ki kuchh dil-nashin nahin

jis baat par aziz aDe hain aDe rahen
kahne den un ko unche gale se nahin nahin

kya jaane dil jigar ko mere jo ye kah gaya
daman bhi tar tar nahin aastin nahin

mabud hai watan hun parastar usi ka main
dair o haram mein jo jhuke ye wo jabin nahin

'kaifi' isi se KHairiyat-e-hind mein hai der
hubb-e-watan ka josh kahin hai kahin nahin


Leave a comment

+