din muñh khole gaatī dhuup
raat se kyuuñ sharmātī dhuup
khel-kūd kar shaam Dhale kyuuñ
apne ghar ko jaatī dhuup
chalte rahnā hī jīvan hai
ham ko ye samjhātī dhuup
din jaise sāthī ke dukh meñ
ro ro kar mar jaatī dhuup
kabhī kabhī achchhī lagtī hai
halkī sī barsātī dhuup
din munh khole gati dhup
raat se kyun sharmati dhup
khel-kud kar sham Dhale kyun
apne ghar ko jati dhup
chalte rahna hi jiwan hai
hum ko ye samjhati dhup
din jaise sathi ke dukh mein
ro ro kar mar jati dhup
kabhi kabhi achchhi lagti hai
halki si barsati dhup
Source: Khushboo Rang Sada ke Sang
Leave a comment