Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jalee Amrohvi

  • Ghazal


nafs se jo laDa nahin karte


nafs se jo laḌā nahīñ karte
ruuh par vo jilā nahīñ karte

kyuuñ na ho phir fasād duniyā meñ
log ḳhauf-e-ḳhudā nahīñ karte

ahl-e-dil ahl-e-zarf ahl-e-nazar
baat dil kī kahā nahīñ karte

un kā jiinā abas hai duniyā meñ
jo kisī kā bhalā nahīñ karte

bazm-e-ishrat meñ āshiqān-e-tarab
nāla-e-dil sunā nahīñ karte

dostī kyā karūñ maiñ phūloñ se
ye hamesha khilā nahīñ karte

dars lo TūTte habāboñ se
sar uThā kar chalā nahīñ karte

ai 'jalī' dahr ke satā.e hue
zindagī kī duā nahīñ karte

nafs se jo laDa nahin karte
ruh par wo jila nahin karte

kyun na ho phir fasad duniya mein
log KHauf-e-KHuda nahin karte

ahl-e-dil ahl-e-zarf ahl-e-nazar
baat dil ki kaha nahin karte

un ka jina abas hai duniya mein
jo kisi ka bhala nahin karte

bazm-e-ishrat mein aashiqan-e-tarab
nala-e-dil suna nahin karte

dosti kya karun main phulon se
ye hamesha khila nahin karte

dars lo TuTte hababon se
sar uTha kar chala nahin karte

ai 'jali' dahr ke satae hue
zindagi ki dua nahin karte


Leave a comment

+