Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Unwan Chishti

  • Ghazal


zindabaad ai dasht ke manzar zindabaad


zindābād ai dasht ke manzar zindābād
shahr meñ hai jaltā huā har ghar zindābād

kitne nau-umroñ ke qisse paak kiye
curfew meñ chaltā huā ḳhanjar zindābād

tere mere rishtoñ ke sañgīn gavāh
TuuTī masjid jaltā mandar zindābād

aag lagī hai man ke bāhar kyā kahiye
phuul khile haiñ man ke andar zindābād

dil par ik ghanghor ghaTā sī chhā.ī hai
āñkhoñ meñ phirtā hai samundar zindābād

zindabaad ai dasht ke manzar zindabaad
shahr mein hai jalta hua har ghar zindabaad

kitne nau-umron ke qisse pak kiye
curfew mein chalta hua KHanjar zindabaad

tere mere rishton ke sangin gawah
TuTi masjid jalta mandar zindabaad

aag lagi hai man ke bahar kya kahiye
phul khile hain man ke andar zindabaad

dil par ek ghanghor ghaTa si chhai hai
aankhon mein phirta hai samundar zindabaad


Source: Book : Aiwan (Pg. 84) Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem Publication : Nirali Duniya (1998) Edition : 1998

Leave a comment

+