Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naaz Muradabadi

  • Ghazal


meri justuju ka hasil mera shauq-e-walihana


mirī justujū kā hāsil mirā shauq-e-vālihāna
mirī aarzū kī manzil na chaman na āshiyāna

koī dil jahāñ banā hai ġham-e-ishq kā nishāna
vahīñ raas aa ga.ī hai use gardish-e-zamāna

kabhī yaad aa ga.ī hai to ghaTā.eñ chhā ga.ī haiñ
maiñ kise batā.ūñ kyā hai tirī zulf-e-kāfirāna

mirī shā.irī meñ pinhāñ mire dil kī dhaḌkaneñ haiñ
mirī har ġhazal hai goyā ġham-e-ishq kā fasāna

ye nazar nazar tabāhī ye qadam qadam musībat
kahīñ past ho na jaa.e mirā azm-e-fātehāna

tirī hamd kyā kareñge ye bayāñ ye lafz-o-ma.anī
tirā husn bhī anokhā tirī zaat bhī yagāna

ye faroġh-e-gulsitāñ hai ki bahār se ayaañ hai
tire husn kī haqīqat mire ishq kā fasāna

mirī har ġhazal hai goyā mirī zindagī kā hāsil
ki har ek sher meñ hai mirā soz-e-āshiqāna

ye hai nāz-e-shauq insāñ ki rasā.ī hai falak tak
mire dard-e-dil ko lekin na samajh sakā zamāna

meri justuju ka hasil mera shauq-e-walihana
meri aarzu ki manzil na chaman na aashiyana

koi dil jahan bana hai gham-e-ishq ka nishana
wahin ras aa gai hai use gardish-e-zamana

kabhi yaad aa gai hai to ghaTaen chha gai hain
main kise bataun kya hai teri zulf-e-kafirana

meri shairi mein pinhan mere dil ki dhaDkanen hain
meri har ghazal hai goya gham-e-ishq ka fasana

ye nazar nazar tabahi ye qadam qadam musibat
kahin past ho na jae mera azm-e-fatehana

teri hamd kya karenge ye bayan ye lafz-o-mani
tera husn bhi anokha teri zat bhi yagana

ye farogh-e-gulsitan hai ki bahaar se ayan hai
tere husn ki haqiqat mere ishq ka fasana

meri har ghazal hai goya meri zindagi ka hasil
ki har ek sher mein hai mera soz-e-ashiqana

ye hai naz-e-shauq insan ki rasai hai falak tak
mere dard-e-dil ko lekin na samajh saka zamana


Source: Subh-e-Hayat

Leave a comment

+