Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Baqaullah Baqa

  • Ghazal


aahen aflak mein mil jati hain


aa.heñ aflāk meñ mil jaatī haiñ
mehnateñ ḳhaak meñ mil jaatī haiñ

sūrateñ ābla-hā-e-dil kī
ḳhosha-e-tāk meñ mil jaatī haiñ

said-e-bismil kī nigāheñ sayyād
tere fitrāk meñ mil jaatī haiñ

nigaheñ yaar kī juuñ tār-e-rafū
jigar-e-chāk meñ mil jaatī haiñ

pople zāhidoñ kī khāte vaqt
ThoḌiyāñ naak meñ mil jaatī haiñ

thalkiyāñ dil kī 'baqā' dekhūñgī
zaḳhm-e-kāvāk meñ mil jaatī haiñ

aahen aflak mein mil jati hain
mehnaten KHak mein mil jati hain

suraten aabla-ha-e-dil ki
KHosha-e-tak mein mil jati hain

said-e-bismil ki nigahen sayyaad
tere fitrak mein mil jati hain

nigahen yar ki jun tar-e-rafu
jigar-e-chaak mein mil jati hain

pople zahidon ki khate waqt
ThoDiyan nak mein mil jati hain

thalkiyan dil ki 'baqa' dekhungi
zaKHm-e-kawak mein mil jati hain


Source: Deewan-e-Baqa

Leave a comment

+