maiñ tumheñ phuul kahūñ tum mujhe ḳhushbū denā
mere baazū meñ zarā pyaar se baazū denā
aarzū chāñd kī hai zarf se baḌh kar lekin
terī fayyāzī kī tauhīn hai jugnū denā
har qadam mujh ko charāġhoñ kī zarūrat hogī
aap to zād-e-safar meñ mujhe aañsū denā
sabr ta.amīr kī buniyād hai rabbā mere
mujh ko biphre hue jazbāt pe qaabū denā
apne a.amāl kī tausīf meñ masrūf hai vo
ahl-e-insāf zarā us ko tarāzū denā
main tumhein phul kahun tum mujhe KHushbu dena
mere bazu mein zara pyar se bazu dena
aarzu chand ki hai zarf se baDh kar lekin
teri fayyazi ki tauhin hai jugnu dena
har qadam mujh ko charaghon ki zarurat hogi
aap to zad-e-safar mein mujhe aansu dena
sabr tamir ki buniyaad hai rabba mere
mujh ko biphre hue jazbaat pe qabu dena
apne aamal ki tausif mein masruf hai wo
ahl-e-insaf zara us ko taraazu dena
Source: Book : aatish zer pa (Pg. 67) Author : zafar sehbai Publication : zafar sehbai Bhopal (2009) Edition : 2009
Leave a comment