Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wafa Naqvi

  • Ghazal


yaadon se mahakti hui is raat mein kya hai


yādoñ se mahaktī huī is raat meñ kyā hai
ye raaz khulā aaj ki jazbāt meñ kyā hai

ik tujh se hī ummīd lagā rakkhī hai varna
ye mujh ko ḳhabar hai ki mirī zaat meñ kyā hai

ye kah ke parindoñ ne bharī aaj uḌāneñ
shahroñ kī taraf chalte haiñ dehāt meñ kyā hai

yuuñ ġhaur se hāthoñ kī lakīreñ na paḌhā kar
bigḌeñge sañvar jā.eñge hālāt meñ kyā hai

khiñchte hī chale aate haiñ dil shahr-e-havas meñ
jaadū tirī āñkhoñ meñ tirī baat meñ kyā hai

pahle to daraḳhtoñ se nikaltī thiiñ karāheñ
is baar zarā dekhiye barsāt meñ kyā hai

yaadon se mahakti hui is raat mein kya hai
ye raaz khula aaj ki jazbaat mein kya hai

ek tujh se hi ummid laga rakkhi hai warna
ye mujh ko KHabar hai ki meri zat mein kya hai

ye kah ke parindon ne bhari aaj uDanen
shahron ki taraf chalte hain dehat mein kya hai

yun ghaur se hathon ki lakiren na paDha kar
bigDenge sanwar jaenge haalat mein kya hai

khinchte hi chale aate hain dil shahr-e-hawas mein
jadu teri aankhon mein teri baat mein kya hai

pahle to daraKHton se nikalti thin karahen
is bar zara dekhiye barsat mein kya hai


Leave a comment

+