Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ibn-e-Mufti

  • Ghazal


ghalat-fahmi ki sarhad par kar ke


ġhalat-fahmī kī sarhad paar kar ke
miTā do fāsle īsār kar ke

ye kārobār bhī kab raas aayā
ḳhasāre meñ rahe ham pyaar kar ke

lagīñ sadiyāñ banāne meñ jo rishte
vo ik pal meñ chale mismār kar ke

gale mil kar hī duurī duur hogī
milegā kyā hameñ takrār kar ke

sage bhaa.ī bhī ab ik chhat ke nīche
vo rahte haiñ magar dīvār kar ke

masā.il haiñ ki baḌhte jā rahe haiñ
guloñ kā barmalā iz.hār kar ke

gañvā dī izzat-e-sādāt 'muftī'
mohabbat meñ nigāheñ chaar kar ke

ghalat-fahmi ki sarhad par kar ke
miTa do fasle isar kar ke

ye karobar bhi kab ras aaya
KHasare mein rahe hum pyar kar ke

lagin sadiyan banane mein jo rishte
wo ek pal mein chale mismar kar ke

gale mil kar hi duri dur hogi
milega kya hamein takrar kar ke

sage bhai bhi ab ek chhat ke niche
wo rahte hain magar diwar kar ke

masail hain ki baDhte ja rahe hain
gulon ka barmala izhaar kar ke

ganwa di izzat-e-sadat 'mufti'
mohabbat mein nigahen chaar kar ke


Leave a comment

+