apnī to guzrī hai akasr apnī hī man-mānī meñ
lekin achchhe kaam bhī ham ne kar Daale nādānī meñ
ham Thahre āvāra panchhī sair gagan kī karte haiñ
jaan ke ham ko kyā karnā hai kaun hai kitne paanī meñ
ruuh ko us kī raah kā patthar banñā hī manzūr na thā
baazī ham ne hī jiitī hai apnī is qurbānī meñ
yaar na.ī kuchh baat agar ho ham bhī sajda kar leñge
akasr ek hī baat sunī hai sab santoñ kī baanī meñ
mehnat kar ke ham to āḳhir bhūke bhī so jā.eñge
yā maulā tū barkat rakhnā bachchoñ kī guḌ-dhānī meñ
mauqe to ham tak bhī aa.e ḳhuub kamā khā lete ham
lekin ek zamīr thā bhītar allāh kī nigrānī meñ
apni to guzri hai akasr apni hi man-mani mein
lekin achchhe kaam bhi hum ne kar Dale nadani mein
hum Thahre aawara panchhi sair gagan ki karte hain
jaan ke hum ko kya karna hai kaun hai kitne pani mein
ruh ko us ki rah ka patthar banna hi manzur na tha
bazi hum ne hi jiti hai apni is qurbani mein
yar nai kuchh baat agar ho hum bhi sajda kar lenge
akasr ek hi baat suni hai sab santon ki bani mein
mehnat kar ke hum to aaKHir bhuke bhi so jaenge
ya maula tu barkat rakhna bachchon ki guD-dhani mein
mauqe to hum tak bhi aae KHub kama kha lete hum
lekin ek zamir tha bhitar allah ki nigrani mein
Leave a comment