Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghulam Murtaza Rahi

  • Ghazal


jo mujh pe bhaari hui ek raat achchhi tarah


jo mujh pe bhārī huī ek raat achchhī tarah
to phir guzar bhī ga.e sānehāt achchhī tarah

maiñ baar baar girāyā gayā bulandī se
mujhe to ho gayā hāsil sabāt achchhī tarah

kitāb sā mirā chehra tirī nigāh meñ hai
bayān kar mirī zaat o sifāt achchhī tarah

tū apne siine se mujh ko yuuñ hī lagā.e rakh
samajh luuñ tā-ki tire dil kī baat achchhī tarah

tujhe banāyā gayā hai jo ashraf-ul-maḳhlūq
samo ke zaat meñ rakh kā.enāt achchhī tarah

kisī ne zahr milā kar na de diyā ho tujhe
maiñ chakh to luuñ tire qand o nabāt achchhī tarah

jo mujh pe bhaari hui ek raat achchhi tarah
to phir guzar bhi gae sanehat achchhi tarah

main bar bar giraya gaya bulandi se
mujhe to ho gaya hasil sabaat achchhi tarah

kitab sa mera chehra teri nigah mein hai
bayan kar meri zat o sifat achchhi tarah

tu apne sine se mujh ko yun hi lagae rakh
samajh lun ta-ki tere dil ki baat achchhi tarah

tujhe banaya gaya hai jo ashraf-ul-maKHluq
samo ke zat mein rakh kaenat achchhi tarah

kisi ne zahr mila kar na de diya ho tujhe
main chakh to lun tere qand o nabaat achchhi tarah


Leave a comment

+