Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zaheer Kashmiri

  • Ghazal


kis ko mili taskin-e-sahil kis ne sar manjdhaar kiya


kis ko milī taskīn-e-sāhil kis ne sar mañjdhār kiyā
us tūfān se guzre jis ne nadī nadī ko paar kiyā

ai farzāno! dīvānoñ ke jazba-e-dil kī qadr karo
un kī ek nazar ne ātish ātish ko gulzār kiyā

rañj-e-mohabbat rañj-e-zamāna donoñ ham se ḳhā.if haiñ
ham ne soch samajh kar dil ko sargarm-e-paikār kiyā

sahrā sahrā ham ne nok-e-ḳhār se talve sahlā.e
mahfil mahfil ham ne apnī vahshat kā iqrār kiyā

un se kah do sāmne aa kar apne jalve aam kareñ
ḳhalvat-e-nāz meñ chhup na sakeñge ham ne agar isrār kiyā

ham ne apne ishq kī ḳhātir zanjīreñ bhī dekhīñ haiñ
ham ne un ke husn kī ḳhātir raqs bhī zer-e-dār kiyā

bastī bastī aaj hamārī sa.ī-e-vafā kī shohrat hai
ham ne 'zahīr' ik aalam ko pāband-e-nigāh-e-yār kiyā

kis ko mili taskin-e-sahil kis ne sar manjdhaar kiya
us tufan se guzre jis ne nadi nadi ko par kiya

ai farzano! diwanon ke jazba-e-dil ki qadr karo
un ki ek nazar ne aatish aatish ko gulzar kiya

ranj-e-mohabbat ranj-e-zamana donon hum se KHaif hain
hum ne soch samajh kar dil ko sargarm-e-paikar kiya

sahra sahra hum ne nok-e-KHar se talwe sahlae
mahfil mahfil hum ne apni wahshat ka iqrar kiya

un se kah do samne aa kar apne jalwe aam karen
KHalwat-e-naz mein chhup na sakenge hum ne agar israr kiya

hum ne apne ishq ki KHatir zanjiren bhi dekhin hain
hum ne un ke husn ki KHatir raqs bhi zer-e-dar kiya

basti basti aaj hamari sai-e-wafa ki shohrat hai
hum ne 'zahir' ek aalam ko paband-e-nigah-e-yar kiya


Source: Book : kulliyat-e-zahiir (Pg. 91)

Leave a comment

+