rañg-e-vahshat kam nahīñ zaḳhm-e-tamāshā kam nahīñ
zinda rahne ke liye āshob-e-duniyā kam nahīñ
dekhnā chāheñ to sāhil par liye manzar bahut
Dūbnā chāheñ to koī mauj-e-dariyā kam nahīñ
lauT kar vāpas nahīñ aa.e parinde aaj bhī
hirs ke said-e-zabūñ ko bāl-e-unqā kam nahīñ
vaqt kī raftār ko naape hai aql-e-nā-rasā
zarra-e-na-chīz bhī hañgāma-ārā kam nahīñ
bāl-o-par ke āzmāne ko fazā.eñ haiñ bahut
āsmāñ kā dast-e-lā-mahdūd aisā kam nahīñ
zer-e-pā mujh ko ka.ī TuuTe hue ḳhanjar mile
shahr-e-nā-pursāñ meñ bhī mere shanāsā kam nahīñ
is jahān ḳhair-o-shar se bad-gumāñ kyuuñ ho koī
bāzū-e-qātil se 'nāmī' dast-e-īsā kam nahīñ
rang-e-wahshat kam nahin zaKHm-e-tamasha kam nahin
zinda rahne ke liye aashob-e-duniya kam nahin
dekhna chahen to sahil par liye manzar bahut
Dubna chahen to koi mauj-e-dariya kam nahin
lauT kar wapas nahin aae parinde aaj bhi
hirs ke said-e-zabun ko baal-e-unqa kam nahin
waqt ki raftar ko nape hai aql-e-na-rasa
zarra-e-na-chiz bhi hangama-ara kam nahin
baal-o-par ke aazmane ko fazaen hain bahut
aasman ka dast-e-la-mahdud aisa kam nahin
zer-e-pa mujh ko kai TuTe hue KHanjar mile
shahr-e-na-pursan mein bhi mere shanasa kam nahin
is jahan KHair-o-shar se bad-guman kyun ho koi
bazu-e-qatil se 'nami' dast-e-isa kam nahin
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment