har qadam par mujhe laġhzish kā gumāñ hotā hai
chashm-e-sāqī kī navāzish kā gumāñ hotā hai
ye hijābāt-e-ta.ayyun mujhe manzūr nahīñ
fikr-e-āzād ko bandish kā gumāñ hotā hai
lutf-e-paiham na sahī jaur-e-musalsal hī sahī
har tavajjoh pe navāzish kā gumāñ hotā hai
un ke aage lab-e-iz.hār pe hai mohar-e-sukūt
ek ḳhāmosh parastish kā gumāñ hotā hai
maiñ qafas meñ huuñ qafas pesh--e-nigāh-e-sayyād
par-e-parvāz meñ jumbish kā gumāñ hotā hai
sirf tum dil kī tabāhī kā sabab kyā hote
baḳht-e-nā-sāz kī sāzish kā gumāñ hotā hai
baat ye kyā hai 'urūj' in kī har ik baat meñ aaj
apnī har tarz-e-guzārish kā gumāñ hotā hai
har qadam par mujhe laghzish ka guman hota hai
chashm-e-saqi ki nawazish ka guman hota hai
ye hijabaat-e-tayyun mujhe manzur nahin
fikr-e-azad ko bandish ka guman hota hai
lutf-e-paiham na sahi jaur-e-musalsal hi sahi
har tawajjoh pe nawazish ka guman hota hai
un ke aage lab-e-izhaar pe hai mohar-e-sukut
ek KHamosh parastish ka guman hota hai
main qafas mein hun qafas pesh--e-nigah-e-sayyaad
par-e-parwaz mein jumbish ka guman hota hai
sirf tum dil ki tabahi ka sabab kya hote
baKHt-e-na-saz ki sazish ka guman hota hai
baat ye kya hai 'uruj' in ki har ek baat mein aaj
apni har tarz-e-guzarish ka guman hota hai
Source: Book : sheerazah (Pg. 44) Author : makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal Publication : P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6 (1973) Edition : 1973
Leave a comment