Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Pratap Somvanshi

  • Ghazal


laeq kuchh nalaeq bachche hote hain


laa.eq kuchh nālā.eq bachche hote haiñ
sher kahāñ saare hī achchhe hote haiñ

auroñ ke dukh meñ āñkheñ bhar aatī haiñ
aise aañsū ḳhālis sachche hote haiñ

bachchoñ kī ḳhushiyāñ Dheroñ sukh detī haiñ
haath meñ ummīdoñ ke lachchhe hote haiñ

ham hī ulTā-sīdhā sochā karte haiñ
rishte thoḌe pakke kachche hote haiñ

jab āñkhoñ kā ek bharosa Dhahtā hai
sapnoñ ke lākhoñ parḳhachche hote haiñ

mīThe logoñ se mil kar ham ne jaanā
tīkhe kaḌve aksar sachche hote haiñ

laeq kuchh nalaeq bachche hote hain
sher kahan sare hi achchhe hote hain

auron ke dukh mein aankhen bhar aati hain
aise aansu KHalis sachche hote hain

bachchon ki KHushiyan Dheron sukh deti hain
hath mein ummidon ke lachchhe hote hain

hum hi ulTa-sidha socha karte hain
rishte thoDe pakke kachche hote hain

jab aankhon ka ek bharosa Dhahta hai
sapnon ke lakhon parKHachche hote hain

miThe logon se mil kar hum ne jaana
tikhe kaDwe aksar sachche hote hain


Source: Book : Itwar chhota pad gaya (Pg. 30) Author : Pratap Somvanshi Publication : Vani Prakashan (2016) Edition : 2016

Leave a comment

+