jinnoñ āzmānā paḌā zindagī meñ
sabhī kuchh nibhānā paḌā zindagī meñ
sahī jis pe baiThe na sur-tāl mere
vo naġhma bhī gaanā paḌā zindagī meñ
na dastār jaa.e isī zid meñ ham ko
bahut kuchh gañvānā paḌā zindagī meñ
jo bekār bātoñ pe rūThe the ham se
unheñ bhī manānā paḌā zindagī meñ
mile ham ko kuchh log aise bhī jin se
svayañm ko bachānā paḌā zindagī meñ
vo gahrā.ī meñ kitne utre haiñ dil kī
sabhī se chhupānā paḌā zindagī meñ
rahe aise hālāt bachpan se jin meñ
'asar' ḳhud kamānā paḌā zindagī meñ
jinnon aazmana paDa zindagi mein
sabhi kuchh nibhana paDa zindagi mein
sahi jis pe baiThe na sur-tal mere
wo naghma bhi gana paDa zindagi mein
na dastar jae isi zid mein hum ko
bahut kuchh ganwana paDa zindagi mein
jo bekar baaton pe ruThe the hum se
unhen bhi manana paDa zindagi mein
mile hum ko kuchh log aise bhi jin se
swayanm ko bachana paDa zindagi mein
wo gahrai mein kitne utre hain dil ki
sabhi se chhupana paDa zindagi mein
rahe aise haalat bachpan se jin mein
'asar' KHud kamana paDa zindagi mein
Source: Book : Rang Sapno ke (Pg. 43) Author : Pramod Sharma 'Asar' Publication : Amrit Parkashan (2016) Edition : 2016
Leave a comment