Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Pramod Sharma Asar

  • Ghazal


chhupa kar apni kartuten hunar ki baat karte hain


chhupā kar apnī kartūteñ hunar kī baat karte haiñ
shajar ko kāTne vaale samar kī baat karte haiñ

jale haiñ jo nasheman raakh par un kī khaḌe ho kar
jinhoñ ne phūñk Daale ghar vo ghar kī baat karte haiñ

anāsir jis ke the mehr-o-vafā shafqat adab ġhairat
unheñ jo bhuul baiThā us bashar kī baat karte haiñ

ghire haiñ muddatoñ se jo añdheroñ meñ masā.ib ke
nahīñ aatī kabhī jo us sahar kī baat karte haiñ

sabhī se bazm meñ hañs kar milī be-sāḳhta lekin
nahīñ ham par paḌī jo us nazar kī baat karte haiñ

hue taqsīm jab se dushmanī qaa.em bhī hai lekin
udhar vaale hamārī ham udhar kī baat karte haiñ

nahīñ hai rābta jin kā 'asar' pairoñ ke chhāloñ se
gharoñ se jo nahīñ nikle safar kī baat karte haiñ

chhupa kar apni kartuten hunar ki baat karte hain
shajar ko kaTne wale samar ki baat karte hain

jale hain jo nasheman rakh par un ki khaDe ho kar
jinhon ne phunk Dale ghar wo ghar ki baat karte hain

anasir jis ke the mehr-o-wafa shafqat adab ghairat
unhen jo bhul baiTha us bashar ki baat karte hain

ghire hain muddaton se jo andheron mein masaib ke
nahin aati kabhi jo us sahar ki baat karte hain

sabhi se bazm mein hans kar mili be-saKHta lekin
nahin hum par paDi jo us nazar ki baat karte hain

hue taqsim jab se dushmani qaem bhi hai lekin
udhar wale hamari hum udhar ki baat karte hain

nahin hai rabta jin ka 'asar' pairon ke chhaalon se
gharon se jo nahin nikle safar ki baat karte hain

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Pramod Sharma Asar RECITATIONS Pramod Sharma Asar



00:00/00:00 chhupa kar apni kartuten hunar ki baat karte hain Pramod Sharma Asar

Source: Book : Rang Sapno ke (Pg. 71) Author : Pramod Sharma 'Asar' Publication : Amrit Parkashan (2016) Edition : 2016

Leave a comment

+